Tuesday, January 12, 2010

wo raat bhi ek enigma si thi...

ajj chand bahut khubsurat tha
mene khidaki ke parde hata diye the
puri raat chandani mere kamare me barasati rahi
puri raat me sochati rahi
jaane wo konse khyal the jo aate rahe
me so hi nahi payi thi
mene raat bhar chand ko dekha
aaj jaisi khubsurat raat jaane fir kab aayegi
me chandani me beth kar anjaane khyalo me khoi raat bita dungi
kuch der pahale hi
chand chala gaya chupake se
bina kuch bole...bina alvida kahe...
jab mene bahar dekha ..wahan to ab bhi raat thi..andhera tha
ab me bhi jaa rahi hun...
apne sapno ke shahar
bina kuch bole..bina alvida kahe...

6 comments:

  1. impressive... seems quite close to one's heart..
    shayad poet ke dil ke paas hai...raat.. chand chandni.. intzaar.. sapney... umm but in quite innocent way.. nice one

    ReplyDelete
  2. nice 1ji, achhe byhale log pagal ho jate hai example 2

    ReplyDelete